Friday, June 11, 2010

Sangharsho ka taana-baana

Kuch hai khona kuch hai paana

Jeevan ka arth hazaro mein

Koi jane koi na jaana

sangharsho ka Taana-baana....

Jis kashti pe baithe sare

Uska aur anzam hai kya

Hote do din do raat yahan

Padta phir se wapas jaana.

Sangharsho ka taana-baana.....

Hota rehta mann shankit sa

karni padti hai taiyaari

Koi naa paas khada apne

Jo pooch raha ho

Haan ya Naa

Sagharsho ka taana-baana.....

Wednesday, June 9, 2010

Dur kahin chalte-chalte
Dard kahin palte-palte
Kitna apna ho hata hai
Sath koi chalte-chalte
Dur kahinn chalte-chalte.......

Suraj na hota jo nabh mein
Kaise jeeta phir suryamukhi
Na dekh priyavar ko apne
Kya hota na masoom dukhi
Kaise suraj ugg aata hai
Roz yahan jalte-jalte
Dur kahin chalte-chalte......

Jo preet hamare mann mein hai
Wo preet amar ho jati hai
Do antarman mil jate hain
Reh jate sab aankhein malte
Dur kahin chalte-chalte.......

Kya madhuban hansta hai hardum
Yaa roti iski bhi kaliyan
Hota aksar aisa bhi hai
Phool gire khilte-khilte
Dur kahin chalte-chalte.........

Panghat se marghat ki doori
Karni padti hai tay sabko
Koi chalta khushi-khushi
Koi chalta girte-padte
Dur kahin chalte-chalte.................
Tassavvur ki batein tassavvur mein rakhiye
zamane ko iski khabar ho na jaye
nighaho ko ab humse milne na dijiye
kahin raaz dil ka ayan ho na jaye
charago ko dehleez pe na jalao
hawaoin mein koi diya bujh na jaye
kayi phool ghulshan mein murjha gaye hain
tumhe dekh kar phir jawan ho na jayein
na tadpao tum is tarah mere dil ko
kahin baddua mein asar ho na jaye.

loose the ego but never loose ur pratishtha

Hello

Now i m the new member of blogging itself so i hope to enjoying it in future